Wednesday, September 19, 2012


Albert Einstein hi tha shayad vuh jis ne yeh kaha:
Kisi ke taaluk se hi kisi shai ka vajood hai:-
Andheri raat hai to roshan din ka vajood hai--
Jhooth zaahir hai to yqeenan Sach ka vajood hai—
Husan-e-surat-o-seerat hai agar to ishk ka vajood hai—
Havvaa hai agar kaheen to Adam ka vajood hai—
Shaitaan naheen to KHUDA bhi naheen kaheen—
KHUDA naheen gr, Shaitaan bhi naheen kaheen—
Shaitaan ki nisbat se hi KHUD KHUDA ka vajood hai---
Tum ho to Hum hain, Hum naheen to Tum naheen-
NAHEEN ki nisbat se hi bass HAAN ka vajood hai---I
                                                      ‘Naasar’—10/9/2011

No comments:

Post a Comment