Wednesday, August 1, 2012

                 chand ishaa'r


Bakhie udhed kar vuh adda bdah ke chl dia
darzi meri taqdeer ka angootha dikha ke chl dia
aaya tha bade josh se mera qadd naapne
Apne hi baonepan se ghbra ke chl dia
tasveer apni dekhkar meri chashm-e-shouq main
apne hi josh-e-jazab se ghbra ke chl dia
dhoop se tmtamaia tha din ki ghta chha gai
Roushni ka karwaan khaima utha ke chl dia
har shaam doobta hai alvidaa' keh kar hmain
lout ke kall aaegai kia? Sir hila ke chl dia
(Naasar)

No comments:

Post a Comment